Aag

From SikhiWiki
Revision as of 04:30, 9 September 2007 by Thegreateditor (talk | contribs) (AAG moved to Aag)
Jump to navigationJump to search

A poem on communal riots:

Aag

Astha binn hai, shayad isliy

jalta hua taayr dala ja chuka hai,

us aadmi ke gale mein

aag ki uthi lapto se,

kapde jale sharir jala aatma bhi to jali.

Jalte hue maas ki sarandh ne poocha prashn,

kon sa, hai mera dharam.

kisne jalaya kisko jalaya kyon jalaya

akhir koun sa, dharam jala kiska bhagbaan jala.

jisko tha jalana Vo to jal na saki,

jali to, insaniyt, aur insaan ki mansikta.

References

  • A poem by Er.Sarbjeet Singh
  • Kashmir Times,Jammu. 9 May 1999

user:sarbjeet_1313me