Aag

From SikhiWiki
Revision as of 04:06, 8 September 2007 by Sarbjeet 1313me (talk | contribs)
Jump to navigationJump to search

A poem on communal riots

            AAG

Astha binn hai,

shayad isliy ,

jalta hua taayr,

dala ja chuka hai,

us aadmi ke ,

gale mein .

aag ki ,

uthi lapto se,

kapde jale ,

sharir jala ,

aatma bhi ,

to jali.

Jalte hue ,

maas ki sarandh,

ne poocha preshn,

kon sa,

hai mera dharam.

kisne jalaya ,

kisko jalaya ,

kyon jalaya ,

akhir koun sa,

dharam jala ,

kiska bhagbaan jala.

jisko tha jalana ,

bo to ,

jal na saki,

jali to,

insaniyt,

aur insaan,

ki mansikta.


A poem by Er.Sarbjeet Singh

Kashmir Times,Jammu. 9 May 1999

user:sarbjeet_1313me