Aag

From SikhiWiki
Revision as of 04:02, 8 September 2007 by Sarbjeet 1313me (talk | contribs)
Jump to navigationJump to search

A poem on communal riots

            AAG

Astha binn hai

shayad isliy

jalta hua taayr

dala ja chuka hai

us aadmi ke

gale mein

aag ki

uthi lapto se

kapde jale

sharir jala

aatma bhi

to jali.

Jalte hue

maas ki sarandh

ne poocha preshn

kon sa

hai mera dharam

kisne jalaya

kisko jalaya

kyon jalaya

akhir koun sa

dharam jala

kiska bhagbaan jala

jisko tha jalana

bo to

jal na saki

jali to

insaniyt

aur insaan

ki mansikta.


A poem by Er.Sarbjeet Singh

Kashmir Times,Jammu. 9 May 1999

user:sarbjeet_1313me